* Nazm *
__________
Dil dard ki shiddat se khoon-gashta o si-paara,
Is shahar mein phirta hai ek wahshi-o-aawaara,
Shaair hai ke aashiq hai, jogi hai ke banjaara,
Darwaza khula rakhna...
Seene se ghata utthe aankhon se jhadi barse,
Phaagun ka nahin baadal, jo chaar-ghadi barse,
Barkha hai ye bhaadon ki, barse to badi barse,
Darwaza khula rakhna...
Aankhon mein to ek aalam aankhon mein to duniya hai,
Honthon pe magar mohrein munh se nahin kahta hai,
Kis cheez ko kho baitha kya dhundhne nikla hai,
Darwaza khula rakhna...
Haan thaam mohabbat ki gar thaam sake dori,
Saajan hai tera saajan ab tujh se to kya chori,
Ye jis ki munaadi hai basti mein teri gori,
Darwaza khula rakhna...
Shikwon ko utha rakhna, aankhon ko bichha rakhna,
Ek shama dareeche ki chaukhat pe jala rakhna,
Mayoos na phir jaaye, haan paas-e-wafa rakhna,
Darwaza khula rakhna...
Darwaza khula rakhna.!!
"Ibn E Insha"
No comments:
Post a Comment