Chandni tha ke ghazal tha ke saba tha kya tha,
Main ne ek baar tera naam suna tha kya tha..
Ab ke bichhde hain to lagta hai ke kuchh toot gaya,
Mera dil tha ke tera ahd-e-wafa tha kya tha..
Khud-kushi kar ke bhi bistar se utha hun zinda,
Main ne kal raat ko jo zahar piya tha kya tha..
Tum to kahte the khuda tum se khafa hai 'Qaisar',
Doobte waqt wo jo ek haath badha tha kya tha.!!
"Qaisar-ul-jafri"
No comments:
Post a Comment