Bhula bhi de use jo baat ho gayi pyare,
Naye charaagh jala raat ho gayi pyare..
Teri nigah-e-pashemaan ko kaise dekhunga,
Kabhi jo tujh se mulaqaat ho gayi pyare..
Na teri yaad na duniya ka ghum na apna khyaal,
Ajeeb surat-e-haalaat ho gayi pyare..
Udaas udaas hain shaamein bujhe bujhe saaghar,
Ye kaisi shaam-e-kharabaat ho gayi pyare..
Wafa ka naam na lega koi zamane mein,
Hum ahl-e-dil ko agar maat ho gayi pyare..
Tumhein to naaz bahut doston pe tha 'Jalib',
Alag thalag se ho kya baat ho gayi pyare.!!
"Habeeb Jalib"
No comments:
Post a Comment