Sunday, June 10, 2018

Be-qaraari Si Be-qaraari Hai

Be-qaarari si be-qaraari hai,
Wasl hai aur firaaq taari hai..

Jo guzaari na ja saki hum se,
Hum ne wo zindagi guzaari hai..

Nighare kya hue ke logo'n par,
Apna saaya bhi ab to bhaari hai..

Bin tumhaare kabhi nahin aai,
Kya meri neend bhi tumhaari hai..

Aap mein kaise aaun main tujh bin,
Saans jo chal rahi hai aari hai..

Us se kahiyo ke dil ki galiyon mein,
Raat din teri intizaari hai..

Hijr ho ya wisaal ho kuchh ho,
Hum hain aur us ki yaadgaari hai..

Ek mahak samt-e-dil se aai thi,
Main ye samjha teri sawaari hai..

Haadso'n ka hisaab hai apna,
Warna har aan sab ki baari hai..

Khush rahe tu ke zindagi apni,
Umr bhar ki ummid-waari hai.!!

"Jaun Eliya"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...