Apne har har lafz ka khud aaina ho jaaunga,
Us ko chhota kah ke main kaise bada ho jaaunga..
Tum girane mein lage the tum ne socha hi nahin,
Main gira to mas'ala ban kar khada ho jaaunga..
Mujh ko chalne do akela hai abhi mera safar,
Raasta roka gaya to qaafila ho jaaunga..
Saari duniya ki nazar mein hai mera ahd-e-wafa,
Ek tere kahne se kya main bewafa ho jaaunga.!!
"Waseem Barelwi"
No comments:
Post a Comment