Wednesday, June 6, 2018

Ai Dost Mit Gaya Hun Fana Ho Gaya Hun Main

Ai dost mit gaya hun fana ho gaya hun main,
Is daur-e-dosti ki dawa ho gaya hun main..

Qaayem kiya hai main ne adam ke wajood ko,
Duniya samajh rahi hai fana ho gaya hun main..

Himmat buland thi magar uftaad dekhna,
Chup chaap aaj mahw-e-dua ho gaya hun main..

Ye zindagi fareb-e-musalsal na ho kahin,
Shayad aseer-e-daam-e-bala ho gaya hun main..

Haan kaif-e-be-khudi ki wo saa'at bhi yaad hai,
Mahsoos kar raha tha khuda ho gaya hun main.!!

"Hafeez Jalandhari"
__________

Uftaad = accident, distress, calamity, difficulties,
Mahw-e-dua = lost in prayer,

6 comments:

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...