Arz-e-hunar bhi wajah-e-shikayaat ho gayi,
Chhota sa munh tha mujh se badi baat ho gayi..
Dushnaam ka jawaab na soojha ba-juz-salaam,
Zaahir mere kalaam ki auqaat ho gayi..
Dekha jo kha ke teer kamin-gaah ki taraf,
Apne hi doston se mulaqaat ho gayi..
Ya zarbat-e-khaleel se but-khaana cheekh utha,
Ya pattharon ko ma'arifat-e-zaat ho gayi..
Yaaraan-e-be-bisaat ki har baazi-e-hayat,
Khele baghair haar gaye maat ho gayi..
Be-razm din guzaar liya ratjaga manao,
Ai ahl-e-bazm jaag utho raat ho gayi..
Nikle jo mai-kade se to masjid tha har maqaam,
Har gaam par talaafi-e-mafaat ho gayi..
Hadd-e-amal mein thi to amal thi yahi sharaab,
Radd-e-amal bani to mukafaat ho gayi..
Ab shukr na-qubool hai shikwa fuzool hai,
Jaise bhi ho gayi basar-auqaat ho gayi..
Wo khush-naseeb tum se mulaqaat kyun kare,
Darbaan hi se jis ki mudaraat ho gayi..
Har ek rahnuma se bichhadna pada mujhe,
Har mod par koi na koi ghaat ho gayi..
Yaaron ki barhami pe hansi aa gayi 'Hafeez',
Ye mujh se ek aur buri baat ho gayi.!!
"Hafeez Jalandhari"
__________
Talaafi-e-mafaat = rectifying mistakes,
Mukafaat = recompense/ retribution,
Mudaraat = politeness, courtesy, hospitality,
No comments:
Post a Comment