Ahd-e-junoon mein baithe baithe jo ghazlein likh daali thin,
Hum ko ruswa duniya bhar ko paagal karne waali thin..
Aankhon mein wo shaam ka tukda aksar chubhta rahta hai,
Fhar mein aandhi jab aai thi shammein jalne waali thin..
Chaand sitare toot rahe the khwabon ki angnaai mein,
Aankh khuli to dekha ghar ki sab deewarein kaali thin..
Chutki bhar ummid nahin thi kaasa le kar kya phirte,
Shahr-e-wafa ki saari galiyan apni dekhi-bhaali thin..
Pyar ka mausam beet chuka tha basti mein jab pahunche hum,
Logon ne phoilon ke badle talwaarein mangwa li thin..
'Qaisar' dil ka haal suna kar jab yaaron ka munh dekha,
Sab ke chehre sookhe sookhe sab ki aankhein khaali thin.!!
"Qaisar-ul-jafri"
No comments:
Post a Comment