Yun to kahne ko teri raah ka patthar nikla,
Tu ne thokar jo laga di to mera sar nikla..
Log to ja ke samandar ko jala aaye hain,
Main jise phoonk kar aaya wo mera ghar nikla..
Ek wo shakhs jo phoolon se bhare tha daaman,
Har kaf-e-gul mein chhupaye hue khanjar nikla..
Yun to ilzaam hai tufaan pe dubo dene ka,
Tah mein dariya ki magar naaw ka langar nikla..
Ghar ke ghar khaak hue jal ke nadi sukh gayi,
Phir bhi un aankhon mein jhaanka to samandar nikla..
Farsh ta arsh koi naam-o-nishaan mil na saka,
Main jise dhundh raha tha mere andar nikla.!!
"Bekal Utsahi"
No comments:
Post a Comment