Monday, May 14, 2018

Ye Baat Phir Mujhe Suraj Batane Aaya Hai

Ye baat phir mujhe suraj batane aaya hai,
Azal se mere taaqub mein mera saaya hai,

Buland hoti chali ja rahi hain deewarein,
Aseer-e-dar hai wo jis ne mujhe bulaya hai,

Main la-zawaal tha mit mit ke phir ubharta raha,
Ganwa ganwa ke mujhe zindagi ne paya hai,

Wo jis ke nain hain gahre samandaron jaise,
Wo apni zaat mein mujh ko dubone aaya hai,

Mili hai us ko bhi shohrat 'Qateel' meri tarah,
Jab us ne apne labon par mujhe sajaya hai.!!

"Qateel Shifai"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...