Yaad ka phir koi darwaza khula aakhir-e-shab,
Dil mein bikhri koi khushbu-e-qaba aakhir-e-shab,
Subah phooti to wo pahlu se utha aakhir-e-shab,
Wo jo ek umr se aaya na gaya aakhir-e-shab,
Chaand se maand sitaron ne kaha aakhir-e-shab,
Kaun karta hai wafa ahd-e-wafa aakhir-e-shab,
lams-e-jaanana liye masti-e-paimana liye,
Hamd-e-baari ko uthe dast-e-dua aakhir-e-shab,
Ghar jo veeran tha sar-e-shaam wo kaise kaise,
Furqat-e-yaar ne aabaad kiya aakhir-e-shab,
Jis ada se koi aaya tha kabhi awwal-e-shab,
Usi andaaz se chal baad-e-saba aakhir-e-shab..!!
"Faiz Ahmad Faiz"
No comments:
Post a Comment