Woh toh khushbu hai hawaon mein bikhar jayega,
Mas'ala phool ka hai phool kidhar jayega.
Hum toh samjhe the k ek zakhm hai bhar jayega,
Kya khabar thi ki rag-e-jaan mein utar jayega.
Woh hawaao'n ki tarah khana-ba-jan phirta hai,
Ek jhounka hai jo aayega guzar jayega.
Woh jab aayega toh phir uss ki rafaqat ke liye,
Mausam-e gul mere aangan mein thehar jayega.
Aakhirash woh bhi Kahi'n ret pe baithi hogi,
Tera ye pyaar bhi dariya hai utar jayega..
Mujh ko tahzeeb ke barzaḳh ka banaya waaris
Jurm ye bhi mere ajdaad ke sar jaayega..!!
- Parween Shakir
No comments:
Post a Comment