Use bhoolne ka sitam kar rahe hain,
Hum apni aziyat ko kam kar rahe hain,
Humari nigaahon se sapne chura kar,
Wo kis ki nigaahon mein zam kar rahe hain,
Hayat-e-rawaan ki har ek na-rawaai,
Hum apne lahu se raqam kar rahe hain,
Bhali kyun lage hum ko khushiyon ki dastak,
Abhi hum mohabbat ka ghum kar rahe hain,
Kise dukh sunayein sabhi to yahaan par,
Shumaar apne apne alam kar rahe hain,
Sukhan ko siyasat ka zeena dikha kar,
Tamasha ye ahl-e-qalam kar rahe hain.!!
"Fariha Naqwi"
No comments:
Post a Comment