Tera chehra subah ka taara lagta hai,
Subah ka tara kitna pyara lagta hai,
Tum se mil kar imli meethi lagti hai,
Tum se bichhad kar shahad bhi khaara lagta hai,
Raat humare saath tu jaaga karta hai,
Chaand bata tu kaun humara lagta hai,
Kis ko khabar ye kitni qayamat dhhata hai,
Ye ladka jo itna bechaara lagta hai,
Titli chaman mein phool se lipti rahti hai,
Phir bhi chaman mein phool kanwara lagta hai,
'Kaif' wo kal ka 'Kaif' kahaan hai aaj miyan,
Ye to koi waqt ka maara lagta hai.!!
"Kaif Bhopali"
No comments:
Post a Comment