Wednesday, May 16, 2018

Sama Kar Dil Mein Nazron Se Nihaa'n Hai

Sama kar dil mein nazron se nihaa'n hai,
Mujhe yaad aane waale tu kahaan hai,

Khudaai kahkashan kahti hai jis ko,
Wo azra ka khiraam-e-raegaa'n hai,

Andhere baadalon se poochh zahid,
Meri khoi hui tauba kahaan hai,

Ye kis ne pyaar ki nazron se dekha,
Ke mere dil ki duniya phir jawaa'n hai,

Jawani raegaa'n jaaye to achchha,
Jawani ek khwaab-e-raegaa'n hai.!!

"Akhtar Shirani"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...