Rukhon ke chaand labon ke gulaab maange hai,
Badan ki pyaas badan ki sharaab maange hai,
Main kitne lamhe na jaane kahaan ganwa aaya,
Teri nigaah to saara hisaab maange hai,
Tamam arsa-e-hasti dhuan dhuan hai to kya,
Har ek aankh mohabbat ka khwab maange hai,
Main kis se poochhne jaaun ke aaj har koi,
Mere sawaql ka mujh se jawaab maange hai,
Dil-e-tabah ka ye hausla bhi kya kam hai,
Har ek dard se jeene ki taab maange hai,
Baja ke waz-e-haya bhi hai ek cheez magar,
Nashaat-e-wasl tujhe be-hijaab maange hai,
Jo iztiraab ba-zaahir sukoon lagta hai,
Har ek sheyr wahi iztiraab maange hai.!!
"Jaan Nisaar Akhtar"
No comments:
Post a Comment