Rasta hi naya hai, na main anjaan
bahut hoon
Phir ku-e-malaamat mein hoon, nadaan
bahut hoon,
Ek umr jisey khwaab ki manind hi dekha,
Chooney ko mila hai to pareshaan
bahut hoon,
Mujh mein kabhi aahat ki tarah
se koi aaye,
Ek band gali ki tarah sunsaan
bahut hoon,
Uljhen ke kayi baar abhi lafz se
mafhoom,
Saada hai bahut woh, na main
aasaan bahut hoon..!!
- Parween Shakir
No comments:
Post a Comment