Monday, May 21, 2018

Marney Se Bhi Pahley Mar Gaye They

Marney se bhi pahley mar 
gaye they,
Jeeney se kuch aise darr 
gaye they,
Rastey mein jahaan talak 
diye they,
Saarey mere humsafar
gaye they,
Aankhain abhi khul nahin 
saki thi’n,
Aur khwaab mere bikhar 
gaye they,
Jab tak na khila tha us ka 
waada,
Mausam mere be’samar
gaye they,
Ab tak wahi naash-e-paziraai,
Kya jaaniye hum kidhar
gaye they..!!

- Parween Shakir
_____
Paziraai = appreciation,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...