Wednesday, May 23, 2018

Raat Dhhalte Hi Ek Aawaz Chali Aati Hai

* Nazm *

Raat dhhalte hi ek aawaz chali aati hai,

Bhool bhi jao ke main ne tumhein chaha kab tha,

Kis sanobar ke tale main ne qasam khaai thi,

Koi tufaan kisi punam mein uthaya kab tha,

Meri raaton ko kisi dard se nisbat kya thi,

Meri subahon ko duaoan se ilaqaa kab tha,

Ek mahmil ke sirhaane koi roya tha zaroor,

Pas-e-mahfil kisi laila ne pukara kab tha,

Tum yunhi zid mein hue khaak-e-dar-e-may-khana,

Mujh ko ye zom ke main ne tumhein toka kab tha,

Tum ne kyun paakai-e-daaman ki hikayat likkhi,

Mere sar ko kisi deewar ka sauda kab tha,

Yaad kam kam hai na chhedo mere maktoob ki baat,

Wo murawwat thi faqat harf-e-tamanna kab tha,

Dil na is tarah dukha saaf mukarne waale,

Mujh ko tasleem ke teri koi taqseer na thi,

Ye baja hai ke tujhe zauq-e-nasheman na mila,

Ye ghalat hai ke mujhe hasrat-e-tameer na thi,

Sang-baari mein ye shishe ka makaan kis ka hai,

Is dar-o-baam mein khushbu-e-wafa kaisi hai,

Kis ki aawaz se deewaron ke seene mein figaar,

Mere maabood mere ghar ki faza kaisi hai,

Chhaanw dete nahin aangan ke ghanere ashjaar,

Ghum ki chhaai hui ghanghor ghata kaisi hai,

Ek konpal pe tha angusht-e-hinaai ka nishaan,

Ye lahu roti hui shaakh-e-hina kaisi hai,

Kis ki tasveer hai ye jis pe gumaan hota hai,

Jaane kab bol uthe uf ye ada kaisi hai,

Kis ne takiya pe ye kaadha hai gire ka misra,

Haye tooti hui neendon ki saza kaisi hai,

Soch mein gum hun ke kis kis ki zabaan band karun,

Aaj shayad dar o deewar ko dhhana hoga,

Jis mein tu hai tere waade hain teri qasmein hain,

Kya sitam hai ke usi ghar ko jalana hoga.!!

"Shaaz Tamkanat"
__________

Mahmil = saddle of camel,
Zom = arrogance/ conceit,
Maktoob = letter, message,
Taqseer = error, crime, sin,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...