* Nazm *
Mujhe yaad padta hai ek umr guzri..
Lagawat ki shabnam mein lahja dubo kar,
Koi mujh ko aawaz deta tha aksar,
Bulaawe ki masumiyat ke sahaare,
Main aahista aahista pahuncha yahaan tak,
Ba-har samt amboh-e-awaar-gaa'n tha,
Bade chaao se main ne ek ek se poochha,
Kaho kya tum hi ne pukara tha mujh ko,
Kaho kya tum hi ne pukara tha mujh ko,
Magar mujh se amboh-e-awaar-gaa'n ne,
Hirasaa'n hirasaa'n pareshaan pareshaan,
Kaha sirf itna nahin wo nahin hum,
Humein bhi bula kar koi chhup gaya hai.!!
"Shaaz Tamkanat"
__________
Amboh-e-awaar-gaa'n = mob of vagrant,
No comments:
Post a Comment