Saturday, May 26, 2018

Naye Zamane Mein Ab Ye Kamaal Hone Laga

Naye zamane mein ab ye kamaal hone laga,
Ke qatl kar ke bhi qaatil nihaal hone laga..

Meri tabahi ka baais jo hai zamane se,
Usi ko ab mera kaahe khyaal hone laga..

Hawa-e-ishq ne bhi gul khilaye hain kya kya,
Jo mera haal tha wo tera haal hone laga..

Shab-e-firaaq wo kaisa tha jashn yaadon ka,
Ke jis ka zikr bhi baad-e-wisaal hone laga..

Jo ranj-o-ghum mein mere saath saath tha ab tak,
Use bhi meri khushi se malaal hone laga..

Jahaan pe manzar-e-jalwa tha sirf wahm o gumaan,
Wahin pe jalsa-e-zohra-jamaal hone laga.. 

Tumhaare qadr se agar badh rahi ho parchhaai,
Samajh lo dhoop ka waqt-e-zawaal hone laga..

Na khud ko becha na koi khushamadein ki hain,
To kaise tum pe ye 'Bekal' sawaal hone laga.!!

"Bekal Utsahi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...