Wednesday, May 16, 2018

Na Wo Khizaa'n Rahi Baaqi, Na Wo Bahaar Rahi

Na wo khizaa'n rahi baaqi, na wo bahaar rahi,
Rahi to meri kahaani hi yaadgar rahi,

Wahi nazar hai nazar jo ba'in-hama pasti,
Sitara-geer rahi kahkashan shikaar rahi,

Shab-e-bahaar mein taaron se khelne waale,
Kisi ki aankh bhi shab bhar sitara-baar rahi,

Tamaam umr raha garche main tahi-pahlu,
Basi hui mere pahlu mein bu-e-yaar rahi,

Koi azeez na thehra humare dafn ke baad,
Rahi jo paas to shama sar-e-mazaar rahi,

Wo phool hun jo khila ho khizaa'n ke mausam mein,
Tamaam umr mujhe hasrat-e-bahaar rahi,

Kabhi na bhoolengi us shab ki lazzatein 'Akhtar',
Ke mere seene pe wo zulf-e-mushk-baar rahi.!!

"Akhtar Shirani"
_____

Ba'in-hama = with everything,
Pasti = lowness,
Sitara-geer = attracting/catcher of star,
Sitara-baar = starry,
Tahi-pahlu = empty sides,
Zulf-e-mushk-baar = tresses perfumed with saffron,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...