Na gumaan maut ka hai na khyaal zindagi ka,
So ye haal in dinon hai mere dil ki be-kasi ka,
Main shikasta baam o dar mein jise ja ke dhundhta tha,
Koi yaad thi kisi ki koi naam tha kisi ka,
Main hawaon se hirasaan wo ghutan se dil-girafta,
Main charaagh teergi ka wo gulaab raushni ka,
Abhi rail ke safar mein hain bahut nihaal donon,
Kahin rog ban na jaaye yahi saath do ghadi ka,
Koi shahar aa raha hai to ye khauf aa raha hai,
Koi jaane kab utar le ke bharosa kya kisi ka,
Koi mukhtalif nahin hai ye dhuaan ye rayegaani,
Ke jo haal shahar ka hai wahi apni shaairi ka.!!
"Aitebaar Sajid"
No comments:
Post a Comment