Saturday, May 19, 2018

Mohabbat Se Riha Hona Zaroori Ho Gaya Hai

Mohabbat se riha hona zaroori ho gaya hai,
Mera tujh se judaa hona zaroori ho gaya hai...

Wafa ke tajaribe karte hue to umr guzri,
Zara sa bewafa hona zaroori ho gaya hai...

Meri awaaz tanhaai main marti ja rahi hai,
Kisi ka hum-nawaa hona zaroori ho gaya hai...

Azaab zulmat-e-shab hai ke ab dil ke labo'n par,
Koi harf-e-duaa hona zaroori ho gaya hai...

Kahaan tak hum yunhi bojhal fizaaon mein rahein ge,
Koi ek faisla hona zaroori ho gaya hai...

Bhanwar mein kayi barson se apni kashti-e-jaan,
Kisi ka nakhuda hona zaroori ho gaya hai...

Yahaan chaaron taraf khauf badhta ja raha hai,
Sukhan na-aashna hona zaroori ho gaya hai.!!

"Noshi Gilani"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...