Saturday, May 19, 2018

Mohabbat Ki Aseeri Se Rihaai Maangte Rahna

Mohabbat ki aseeri se rihaai maangte rahna,
Bahut aasaan nahin hota, judaai maangte rahna,

Zara sa ishq kar lena, zara si aankh bhar lena,
Ewaz is ke magar saari khudaai maangte rehna,

Kabhi mahroom honthon par duaa ka harf rakh dena,
Kabhi wahshat main us ki na-rasaai maangte rahna,

Wafaaon ke tasalssul se mohabbat rooth jaati hai,
Kahani main zara si bewafaai maangte rahna,

Ajab hai wahshat-e-jaan bhi ke aadat ho gayi dil ki,
Sakoot-e-shaam-e-ghum se hum-nawaai maangte rahna,

Kabhi bachche ke nanhe haath par titli ke par rakhna,
Kabhi phir us ke rangon se rihaai maangte rahna.!!

"Noshi Gilani"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...