Meri shaam-e-ghum ko wo bahla rahe hain,
Likha hai ye khat mein ke hum aa rahe hain,
Thehar ja zara aur ai dard-e-furqat,
Humare tasawwur mein wo aa rahe hain,
Ghum-e-aaqibat hai na fikr-e-zamana,
Piye ja rahe hain jiye ja rahe hain,
Nahin shikwa-e-tishnagi may-kashon ko,
Wo aankhon se may-khane barsa rahe hain,
Wo rashk-e-bahaar aane waala hai 'Akhtar',
Kanwal hasraton ke khile ja rahe hain.!!
"Akhtar Shirani"
_____
Rashk-e-bahaar = envoy of spring,
Ghum-e-aaqibat = conclusion of sorrow /end of sorrow,
No comments:
Post a Comment