Tuesday, May 29, 2018

Mere Hum-raqs Saaye Ko Bil-aakhir Yunhi Dhhalna Tha

Mere hum-raqs saaye ko bil-aakhir yunhi dhhalna tha,
Koi mausam nahin rukta so mausam ko badalna tha,

Taqaza maslahat ka tha hawa se dosti kar lein,
Charaghon ko ujaale tak yunhi har taur jalna tha,

Use to ye ijazat thi wo jab chaahe palat jaaye,
Safar mera to baaqi tha mujhe to yunhi chalna tha,

Talaatum mein baha kar jo meri hasti ko le jaati,
Usi mauj-e-tamanna se mujhe pahle sambhalna tha,

Humein bhi sabz rangat ka wo pairahan ata hota,
Humari aasteeno'n mein agar saanpo'n ko palna tha,

Hamesha apne kaase mein duaon ki talab rakkhi,
Duaon ke waseele se bura har waqt talna tha,

Bataya tha ke ye jauhar bahut nayaab hai jaanaa, 
Use kho kar tumhein yunhi faqat haathon ko malna tha,

Shab-e-ghum ki tawaalat se na ghabrana 'Farah' aakhir,
Ye suraj dhhal bhi jaaye to ise phir se nikalna tha.!! 

"Farah Iqbal"
__________

Tawaalat = length, prolixity,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...