Monday, May 28, 2018

Mar Ke Toota Hai Kahin Silsila-e-qaid-e-hayat

Mar ke toota hai kahin silsila-e-qaid-e-hayat,
Magar itna hai ki zanjeer badal jaati hai..

Asar-e-ishq taghaful bhi hai bedaad bhi hai,
Wahi taqseer hai tazeer badal jaati hai..

Kahte kahte mera afsana gila hota hai,
Dekhte dekhte taqdeer badal jaati hai..

Roz hai dard-e-mohabbat ka nirala andaaz,
Roz dil mein teri tasveer badal jaati hai..

Ghar mein rahta hai tere dam se ujala hi kuchh aur,
Mah o khurshid ki tanweer badal jaati hai,

Ghum naseebon mein hai 'Faani' ghum-e-duniya ho ke ishq,
Dil ki taqdeer se tadbeer badal jaati hai.!!

"Faani Badayuni"
__________

Taghaful = neglect,
Bedaad = tyranny,
Taqseer = error, crime, sin,
Tazeer = punishment, reprimand, penalty,
Tasveer = illuminating, illumination, enlightening,
Tadbeer = advice, solution, arrangement, order,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...