Main takiye par sitaare bo raha hun,
Janam-din hai akela ro raha hun,
Kisi ne jhaank kar dekha na dil mein,
Ke main andar se kaisa ho raha hun,
Jo dil par daagh hain pichhli ruto'n ke,
Unhein ab aansuon se dho raha hun,
Sabhi parchhaiyan hain saath lekin,
Bhari mahfil mein tanha ho raha hun,
Mujhe in nisbato'n se kaun samjha,
Main rishte mein kisi ka jo raha hun,
Main chaunk uthta hun aksar baithe baithe,
Ke jaise jaagte mein so raha hun,
Kise paane ki khwahish hai ke 'Sajid',
Main rafta rafta khud ko kho raha hun.!!
"Aitebaar Sajid"
No comments:
Post a Comment