Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera
khayal bhi,
Dil ko khushi ke sath sath hota raha malaal bhi,
Baat wo aadhi raat ki raat wo puurey chaand ki,
Chaand bhi ain chait ka us pe tera jamaal bhi,
Sab se nazar bacha ke woh mujh ko kuch aise dekhta,
Ek dafah to ruk gayee gardish-e-maah-o-saal bhi,
Dil to chamak sake ga kya phir bhi taraash ke
dekh lain,
Sheesha-giraan-e-sheher ke haath ka yeh
kamaal bhi,
Us ko na pa sake thay jab dil ka ajeeb haal tha,
Ab jo palat ke dekhiye baat hi kuch muhaal thi,
Meri talab tha ek shakhs woh jo nahin mila to phir,
Haath dua se yoon giray bhool gaya sawaal bhi,
Uss ki sukhnn taraaziyan mere liye bhi dhaal theen,
Us ki hansi main chupp gaya apne ghamon ka haal bhi,
Gaah qareeb-e-shah-rag gaah baeed-e-wahm-o-khwaab,
Us ki rafaaqaton mein raat hijr bhi tha wisaal bhi,
Us ke hi baazuon mein aur us ko hi sochtey rahey,
Jism ki kwaahishon pe the ruuh ke aur jaal bhi,
Shaam ki nasamajh hawaa puch rahi hai aik pata,
Mauj-e-hawaa-e- ku-e-yaar, kar kuch to mera khayal bhi..!!
- Parween Shakir
No comments:
Post a Comment