Koi faisla to ho ke kidhar jaana chahiye,
Paani ko ab to sar se guzar jaana chahiye,
Har baar erriyon pe gira hai mera lahuu,
Maqtal main ab ba-tarzz-e-digar jaana chahiye,
Kya chal sakeinge jin ka faqat mas'ala yeh hai,
Jaaney se pehle rakht-e-safar jaana chahiye,
Jab bhi gaye azaab-e-dar-o-baam tha wohi,
Aakhir ko kitni der se ghar jaana chahiye,
Tohmat laga ke jo maan pe dushman se
daad le,
Aise sukhann-faroshh ko mar jaana chahiye..!!
- Parween Shakir
___
Ba-tarzz-e-digar - without any hesitation,
Sukhann-faroshh - tongue seller, speech seller,
No comments:
Post a Comment