#Nazm
Kaun aayega!
Shab-bhar girte patton ki aawazein mujh se kahti hain,
Kaun aayega!
Kis ki aahat par mitti ke kaan lage hain!
Khushbu kis ko dhundh rahi hai!
Shabnam ka aashob samajh,
Aur dekh ke in phoolon ki aankhein
Kis ka rasta dekh rahi hain..
Kis ki khaatir,
Qarya qarya jaag raha hai,
Soona rasta goonj raha hai,
Kis ki khaatir!
Tanhai ke hol-nagar mein,
Shab-bhar girte patton ki aawazein chunta rahta hun,
Apne sar par tez hawa ke nauhe sunta rahta hun..!!
"Amjad Islam Amjad"
No comments:
Post a Comment