#Nazm
Ai dil-e-be'khabar,
Jo hawa ja chuki ab nahin aayegi,
Jo shajar toot jaata hai phalta nahin,
Waapsi mausamon ka muqaddar to hai,
Jo samaa'n beet jaaye palat ta nahin,
Jaane walae nahin laut te umr bhar,
Ab kise dhundhta hai sar-e-rahguzar,
Ai dil-e-kam'nazar,
Ai mere be'khabar
Ai mere hum-safar,
Wo to khushbu tha agle nagar ja chuka,
Chandni tha hua sarf-e-rang-e-qamar,
Khwaab tha aankh khulte hi ojhal hua,
Ped tha rut badalte hua be-samar,
Ai dil-e-be'asar,
Ai mere chaara-gar,
Ye hai kis ko khabar!
Kab hawa-e-safar ka ishaara mile,
Kab khulein saahilon par safeenon ke par,
Kaun jaane kahaan manzil-e-mauj hai,
Kis jazeere pe hai shah-zaadi ka ghar,
Ai mere chaara-gar,
Ai dil-e-be'khabar, kam-nazar, mo'tabar,
Tu ke muddat se hai zer-e-baar-e-safar,
Be'qaraar-e-safar,
Rail ki be-hunar ptriyon ki tarah,
Aas ke be-samar mausamon ki tarah,
Be-jahat manzilon ki masaafat mein hai,
Rasta bhoole hue rahrawo'n ki tarah,
chob-e-naar-e-safar,
Aitebaar-e-nazar kis gumaa'n par karein,
Ai dil-e-be'basar,
Ye to saahil pe bhi dekhti hai bhanwar,
Ret mein kisht karti hai aab-e-baqa,
Kholti hai hawaaon mein baab-e-asar,
Tujh ko rakhti hai ye zebdaar-e-safar,
Be'qarar-e-safar,
Ai dil-e-be'hunar,
Garm saanson ki wo khushbuein bhool ja,
Wo chahakti hui dhadkanen bhool ja,
Bhool ja narm honthon ki shadabiyaan,
Harf-e-iqraar ki lazzatein bhool ja,
Bhul ja wo hawa bhool ja wo nagar,
Kaun jaane kahaan raushni kho gayi,
Lut gaya hai kahaan karwaan-e-sahar,
Ab kahaan gesuon ke wo saaye kahaan,
Us ki aahat se chamke hue baam-o-dar,
Ai dil-e-be'basar,
Rang-e-asoodgi ke tamashe kahaan,
Jhutputa hai yahaan rah-guzar rah-guzar,
Wo to khushbu tha agle nagar ja chuka,
Ab kise dhundhta hai are be'khabar,
Jaane waale nahin laut te umr bhar,
Ai dil-e-kam'nazar,
Ai mere chaara-gar,
Ai mere hum-safar,
"Amjad Islam Amjad"
No comments:
Post a Comment