Kahta hai har makeen se makaan bolte raho,
Is chup mein bhi hai ji ka ziyaa'n bolte raho,
Har yaad har khyaal hai lafzon ka silsila,
Ye mahfil-e-nawa hai yahaan bolte raho,
Mauj-e-sada-e-dil pe rawaa'n hai hisaar-e-zeest,
Jis waqt tak hai munh mein zabaan bolte raho,
Apna lahu hi rang hai apni tapish hi bu,
Ho fasl-e-gul ke daur-e-khizaa'n bolte raho,
Qadmon pe baar hote hain sunsaan raaste,
Lamba safar hai hum-safaraa'n bolte raho,
Hai zindagi bhi tooa hua aaina to kya,
Tum bhi ba-tarz-e-shisha-garaa'n bolte raho,
'Baqi' jo chup rahoge to utthengi ungliyaan,
Hai bolna bhi rasm-e-jahaan bolte raho.!!
"Baqi Siddiqui"
No comments:
Post a Comment