Monday, May 7, 2018

Kaha, Din Ko Bhi Ye Ghar Kis Liye Viraan Rahta Hai

Kaha, din ko bhi ye ghar kis liye viraan rahta hai,
Yahaan kya hum sa koi be-sar-o-samaan rahta hai,

Dar-o-deewar sannaate ki chaadar mein hain khwabeeda,
Bhala aisi jagah zinda koi insaan rahta hai,

Musalsal poochhne par ek chilman se jawaab aaya,
Yahaan ek dil-shikasta saahab-e-diwaan rahta hai,

Jhijak kar main ne poochha kya kabhi baahar nahin aata,
Jawab aaya use khalwat mein itminaan rahta hai,

Kaha, kya us ke rishta-daar bhi milne nahin aate,
Jawab aaya ye sahra raat-din sunsaan rahta hai,

Kaha, koi to hoga us ke dukh-sukh baantne waala,
Jawab aaya nahin khaali ye ghar ye lawn rahta hai,

Kaha, is ghar ke aangan mein hain kuchh phoolon ke paude bhi,
Jawab aaya ke khaali phir bhi har gul-daan rahta hai,

Kaha, kya is mohalle mein nahin pursaan-e-haal us ka,
Jawab aaya khyaal us ka mujhe har aan rahta hai,

Khuda ka shukr hai hum ek faza mein saans lete hain,
Agar milte nahin itna to itminaan rahta hai.!!

"Aitebaar Sajid"
___
Saahab-e-diwaan = poet with a divan of poems to credit,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...