Kaan laga kar sunti raatein baatein karte din,
Kahaan gayin wo achchhi raatein baatein karte din,
Ek hi manzar shahar pe apne kab se thehra hai,
Kuchh soi kuchh jaagi raatein baatein karte din,
Deewanon ke khwaab ki surat an-mil aur bejod,
Apne aap se ladti raatein baatein karte din,
Jaane kab ye mel karenge ek-dooje ke saath,
Khamoshi mein doobi raatein baatein karte din,
Tanhaai ke khauf ki dekho kya kya shaklein hain,
Sannaate mein lipti raatein baatein karte din,
'Amjad' apne saath rahenge kab tak raston mein,
Gahri soch mein uljhi raatein baatein karte din.!!
"Amjad Islam Amjad"
No comments:
Post a Comment