Monday, May 28, 2018

Jab Pursish-e-haal Wo Farmaate Hain Jaaniye Kya Ho Jaata Hai

Jab pursish-e-haal wo farmaate hain jaaniye kya ho jaata hai,
Kuchh yun bhi zabaan nahin khulti kuchh dard siwa ho jaata hai..

Ab khair se un ki bazm ka itna rang to badla mere baad,
Jab naam mera aa jaata hai kuchh zikr-e-wafa ho jaata hai..

Yakta-e-zamana hone par saahab ye ghuroor khudaai ka,
Sab kuchh ho magar khaakam-ba-dahan kya koi khuda ho jaata hai..

Qatra qatra rahta hai dariya se juda rah sakne tak,
Jo taab-e-judaai la na sake wo qatra fana ho jaata hai..

Phir dil se 'Faani' saare ke saare naqsh-e-jafa mit jaate hain,
Jis waqt wo zaalim saamne aa kar jaan-e-haya ho jaata hai.!!

"Faani Badayuni"
__________

Yakta-e-zamana = one of a kind, unique in period, time,
Khaakam-ba-dahan = may dust be in my mouth-exclamation,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...