Hum Dasht K Baasi Hain Ai Shahar Ke Logo,
Ye Rooh Pyaasi Humein Warsay Main Mili Hai.
Dukh Dard Se Sadiyon Ka Ta'alluq Hai Humara,
Aankhon Ki Udaasi Humein Warsay Main Mili Hai.
Jaan Dena Riwayat Hai Qabeelay ki Humari,
Ye Surkh Libaasi Humein Warsay Main Mili Hai.
Jo Baat Bhi Kahte Hain Utar Jaati Hai Dil Mein,
Taaseer Juda Si, Humein Warsay Main Mili Hai.
Jo Haath Bhi Thaama Hai Sada Saath Raha Hai,
Ahbaab-shanaasi Humein Warsay Main Mili Hai..!!
"Mohsin Naqwi"
ہم دشت کے باسی ہیں ارے شہر کے لوگو
یہ روح پیاسی ہمیں ورثے میں ملی ہے..
دکھ درد سے صدیوں کا تعلق ہے ہمارا
آنکھوں کی اداسی ہمیں ورثے میں ملی ہے..
جاں دینا روایت ہے قبیلے کی ہماری
یہ سرخ لباسی ہمیں ورثے میں ملی ہے..
جو بات بھی کہتے ہیں اتر جاتی ہے دل میں
تاثیر جدا سی ہمیں ورثے میں ملی ہے..
جو ہاتھ بھی تھاما ہے سدا ساتھ رہا ہے
احباب شناسی ہمیں ورثے میں ملی ہے..
"محسن نقوی"
No comments:
Post a Comment