Haye logon ki karam-farmaiyan,
Tohmatein badnamiyan ruswaiyan,
Zindagi shayad isi ka naam hai,
Dooriyan majbooriyan tanhaiyan,
Kya zamane mein yun hi kat ti hai raat,
Karwatein betabiyan angdaiyan,
Kya yahi hoti hai shaam-e-intizaar,
Aahatein ghabrahatein parchhaiyan,
Ek rind-e-mast ki thokar mein hain,
Shahiyan sultaniyan daaraiyan,
Ek paikar mein simat kar rah gayin,
Khoobiyan zebaiyan raanaiyan,
Rah gayin ek tifl-e-maktab ke huzoor,
Hikmatein aagahiyan daanaiyan,
Zakhm dil ke phir hare karne lagin,
Badliyan barkha rutein purwaiyan,
Deeda-o-danista un ke saamne,
Laghzishein nakaamiyan paspaiyan,
Mere dil ki dhadkanon mein dhhal gayin,
Choodiyan mausiqiyan shahnaiyan,
Un se mil kar aur bhi kuchh badh gayin,
Uljhanein fikrein qayas-araaiyan,
'Kaif' paida kar samandar ki tarah,
Wus'atein khamoshiyan gahraiyan..!!
"Kaif Bhopali"
No comments:
Post a Comment