Harf lafzon ki taraf lafz maani ki taraf,
Laut aaye sabhi kirdaar kahani ki taraf,
Us se kahna ki dhuan dekhne ke laayeq hoga,
Aag pahne hue jaaunga main paani ki taraf,
Pahle misre mein tujhe soch liya ho jis ne,
Jaana padta hai use misra-e-saani ki taraf,
Dil wo dariya hai mere seena-e-khaali mein ke ab,
Dhyaan jaata hi nahin jis ki rawaani ki taraf.!!
"Abhishek Shukla"
No comments:
Post a Comment