Har dushman-e-wafa mujhe mahboob ho gaya,
Jo mo'ajaza hua wo bahut khoob ho gaya,
Ishq ek seedhi-saadhi si mantiq ki baat hai,
Raghbat mujhe hui to wo marghoob ho gaya,
Deewangi baghair hayat itni talkh thi,
Jo shakhs bhi zaheen tha majzoob ho gaya,
Mujrim tha jo wo apni zehanat se bach gaya,
Jis se khata na ki thi wo masloob ho gaya,
Wo khat jo us ke haath se purze hua 'Adam',
Duniya ka sab se qeemti maktoob ho gaya.!!
"Abdul Hameed Adam"
__________
Mantiq = logic, reasoning,
Raghbat = inclination, curiosity, wish, Interest,
Marghoob = pleasant, agreeable, favourite,
Majzoob = attracted, drawn, abstracted, a man who is not in full possession of his senses,
Masloob = crucified, suspended,
Maktoob = letter, message,
No comments:
Post a Comment