Saturday, May 12, 2018

Girja Mein Mandiron Mein Azaanon Mein Bat Gaya

Girja mein mandiron mein azaanon mein bat gaya,
Hote hi subah aadmi khaanon mein bat gaya,

Ek ishq naam ka jo parinda khala mein tha,
Utra jo shahar mein to dukaanon mein bat gaya,

Pahle talasha khet phir dariya ki khoj ki,
Baaqi ka waqt gehun ke daanon mein bat gaya,

Jab tak tha aasman mein suraj sabhi ka tha,
Phir yun hua wo chand makaanon mein bat gaya,

Hain taak mein shikari nishana hain bastiyaan,
Aalam tamaam chand machaanon mein bat gaya,

Khabron ne ki musawwari khabren ghazal banin,
Zinda lahu to teer kamaanon mein bat gaya.!!

"Nida Fazli"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...