Faseel-e-jism gira de makaan-e-jaan se nikal,
Ye intishaar-zada shahar hai yahaan se nikal...
Teri talaash mein phirte hain aaftaab kayi,
So ab ye farz hai tujh par ke sayebaan se nikal...
Tamaam shahar pe ek khamoshi musallat hai,
Ab aisa kar ke kisi din meri zabaan se nikal...
Maqaam-e-wasl to arz-o-sama ke beech mein hai,
Main is zameen se niklun tu aasman se nikal...
Main apni zaat mein tareekiyan samete hun,
Tu ek charagh jala aur ab yahaan se nikal...
Kaha tha mujh se bhi ek din hawa-e-sahra ne,
Meri panaah mein aa ja ghubaar-e-jaan se nikal.!!
"Abhishek Shukla"
__________
Intishaar-zada = afflicted by conflict,
No comments:
Post a Comment