Monday, May 21, 2018

Ek Umr Ke Baad Us Ko Dekha

* Nazm *
__________

Ek umr ke baad us ko dekha,

Aankhon mein sawaal they hazaaron,
Honton pe magar wohi tabasum,
Chehrey pe likhi huyi udaasi,
Lehjey mein magar balaa ka thehrao,
Awaaz main goonjti judaai,
Baanhen thi magar wisaal-e-samaa'n,
Simtti huyi baazuyo'n mein,
Taa’der mein sochti rahi thi,
Kis abr-e-gurez paa ki tarah,
Main kis shajar se katt gayi thi,
Kis chaaon ko tark kar diya tha,
Main us ke galey lagi huyi thi,
Woh ponchh raha tha mere aansu,
Lekin badi der ho chuki thi..!!

- Parween Shakir 
___
Samaa'n = Atmosphere, 

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...