Ab aur jeeney ki surat nazar
nahin aati,
Kisi tarah bhi achi khabar nazar
nahin aati,
Ussi ke aas main hai dil ka hujraa
tareek,
Woh roshni jo kabhi mere ghar
nahin aati,
Woh meherbaan hai to
mehraab-o-baam tak na rahey,
Yeh dhoop kyon pas-e-dar-o-deewar
nahin aati,
Hayaat mein ab koi aisa mod nahin,
Ke jis ke baad teri rahguzar nazar
nahin aati,
Qabooliyat ki hai ghadi to us ko
maang hi loon,
Ke yeh ghadi kabhi baar-e-dagar
nahin aati,
Saraaye khaana duniya main
shaam hoti hai,
Musaafiron ko naveed-e-safar
nazar nahin aati..!!
- Parween Shakir
______________
Naveed = Good New,
Baar = Weight,
No comments:
Post a Comment