Dasht-e-be-aab ki tarah guzri,
Zindagi khwaab ki tarah guzri,
Chashm-e-pur-aab se teri khwahish,
Raqs-e-mahtaab ki tarah guzri,
Ek surat ko dhundhte har shab,
Chashm-e-be-khwaab ki tarah guzri,
Hijr ki anjuman se har saa'at,
Ashk-e-be-taab ki tarah guzri,
Dastaan meri is kahaani ke,
An-padhe baab ki tarah guzri,
Dil ke dariya se har khushi 'Amjad'
Ek girdaab ki tarah guzri..!!
"Amjad Islam Amjad"
___
Girdaab = vortex,
No comments:
Post a Comment