Thursday, May 24, 2018

Dar-parda Jafaon Ko Agar Jaan Gaye Hum

Dar-parda jafaon ko agar jaan gaye hum,
Tum ye na samajhna ke bura maan gaye hum,

Ab aur hi aalam hai jahaan ka dil-e-nadaan,
Ab hosh mein aaye to meri jaan, gaye hum,

Palkon pe larazte hue taare se ye aansu,
Ai husn-e-pashimaan tere qurbaan gaye hum,

Hum aur tere husn-e-taghaful se bigadte,
Jab tu ne kaha maan gaye maan gaye hum,

Badla hai magar bhes ghum-e-ishq ka tu ne,
Bas ai ghum-e-dauraa'n tujhe pahchaan gaye hum,

Hai 'Saif' bas itna hi to afsana-e-hasti,
Aaye the pareshaan pareshaan gaye hum.!!

"Saifuddin Saif"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...