Wednesday, May 23, 2018

Chhup Chhup Ke Ab Na Dekh Wafa Ke Maqaam Se

Chhup chhup ke ab na dekh wafa ke maqaam se,
Guzra humara dard dawa ke maqaam se..

Laut aaye hum to arz-e-dua ke maqaam se,
Har shay thi past un ki raza ke maqaam se..

Ai mutribaan-e-kunj-e-chaman hoshiyar-bash,
Sarsar guzar rahi hai saba ke maqaam se..

Allah-re khud-farebi-e-ahl-e-haram ke ab,
Bande bhi dekhte hain khuda ke maqaam se..

Jab dil ne khair-o-shar ki haqeeqat ko pa liya,
Har jurm tha buland saza ke maqaam se..

Ai waaye 'Saif' lazzat-e-nairangi-e-hayat,
Mar kar uthenge beem-o-raja ke maqaam se.!!

"Saifuddin Saif"
__________

Mutribaan-e-kunj-e-chaman = singers of grove in garden,
Hoshiyar-bash = be attentive,
Lazzat-e-nairangi-e-hayat = fascination of life of joy,
Beem-o-raja = hope and fear,

2 comments:

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...