Chalte hue mujh mein kahin thehra hua tu hai,
Rasta nahin manzil nahin achchha hua tu hai,
Tabeer tak aate hi tujhe chhoona padega,
Lagta hai ke har khwab mein dekha hua tu hai,
Mujh jism ki mitti pe tere naqsh-e-kaf-e-pa,
Aur main bhi bada khush ke are kya hua tu hai,
Main yun hi nahin apni hifazat mein laga hun,
Mujh mein kahin lagta hai ki rakkha hua tu hai,
Wo noor ho aansu ho ke khwabon ki dhanak ho,
Jo kuchh bhi in aankhon mein ikattha hua tu hai,
Is ghar mein na ho kar bhi faqat tu hi rahega,
Deewar-o-dar-e-jaan mein samaya hua tu hai.!!
"Abhishek Shukla"
__________
Naqsh-e-kaf-e-pa = footprints,
No comments:
Post a Comment