Chalne ka hauslaa nahin rukna
muhaal kar diya,
Ishq ke iss safar ne to mujh ko
nidhaal kar diya,
Ae meri gul-zameen tujhe chaah thi
ek kitaab ki,
Ehl-e-kitaab ne magar kya tera
haal kar diya,
Milte huye dilon ke beech aur tha
faasla koi,
Uss ne magar bichhadte waqt aur
sawaal kar diya,
Ab ke hawa ke saath hai
daaman-e-yaar muntazir,
Baanu-e-shab ke haath mai rakhna
sambhaal kar diya,
Mumkinaa faislon main ek hijr ka
faislaa bhi tha,
Hum ne to ek baat ki uss ne
kamaal kar diya,
Mere labon pe mohr thi pr mere
sheesha-ru ne to,
Sheher ke sheher ko mera
waaqif-e-haal kar diya,
Chehera-o-naam ek saath aaj na
yaad aa sake,
Waqt ne kis shabeeh ko
khwaab-o-khyaal kar diya,
Mudatton baad us ne aaj mujh se
koi gilaa kiya,
Mansab-e-dilbari pe kya mujh ko
bahaal kar diya..
- Parween Shakir
___
sheesha-ru = like glass,
waaqif-e-haal = connoisseur
Mansab-e-dilbari = stage of loving
Baanu-e-shab = shoulders of night,
No comments:
Post a Comment